palkon pe ruka qatra-e-muztar ki tarah hun
bahar se bhi bechain main andar ki tarah hun
bahar se mere jism ki diwar khaDi hai
andar se main ek TuTe hue ghar ki tarah hun
nazron se gira do ki mujhe dewta mano
patthar ke tarashe hue paikar ki tarah hun
chhai hain mere sar pe siyah-posh ghaTaen
main subh mein bhi sham ke manzar ki tarah hun
andar ki chaTanon se na Takra ke bikhar jaun
main biphra hua KHud pe samundar ki tarah hun
tum jalwa-numa ho to khuli hain meri aankhen
aa lipTo badan se to main chadar ki tarah hun
rahta hai kahin jism bhaTakti hai kahin ruh
ghar mein hun magar aaj main be-ghar ki tarah hun
aqdar ki uThti hui diwar mein chun lo
raste mein paDa main kisi patthar ki tarah hun
Ghazal
Palkon pe ruka qatra-e-muztar ki tarah hun
Yaseen Afzal