palkon pe larazte rahe aansu ki tarah hum
ghar mein tere mahka kiye KHushbu ki tarah hum
suraj ke liye chhoDa tha us ne hamein phir bhi
raaton ko satate rahe jugnu ki tarah hum
aate rahe jate rahe kashti ke musafir
pairon se lipaTte rahe baalu ki tarah hum
rekha hai khinchi aur na hai sita koi ghar mein
is shahr mein kyun phirte hain sadhu ki tarah hum
ghairon se zyaada hamein apnon ne sataya
is mulk mein zinda rahe urdu ki tarah hum
Ghazal
Palkon pe larazte rahe aansu ki tarah hum
Shakeel Shamsi