palkon pe intizar ka mausam saja liya
us se bichhaD ke rog gale se laga liya
koi to aisi baat thi hum kuchh na kar sake
sare jahan mein KHud ko tamasha bana liya
ab ye kise bataen hamein kya KHushi mili
jis din zara sa bojh kisi ka uTha liya
main umr bhar na jaane bhaTakta kahan kahan
achchha hua jo aap ne apna bana liya
kitne sakun se kaT di purkhon ne zindagi
jo mil gaya nasib se chup-chap kha liya
ahbab ko na dijiye ilzam dosto
hum ne to dushmanon ko bhi apna bana liya
guzre hain zindagi mein bahut tajrabaat se
lekin 'ashok' jine ka andaz pa liya
Ghazal
Palkon pe intizar ka mausam saja liya
Ashok Sawhny