palkon pe bhala kab ye Thaharne ke liye the
moti meri aankhon ke bikharne ke liye the
chamke na kisi taur bhi zinda rahe jab tak
hum KHak mein mil kar hi nikharne ke liye the
achchha hai ki ab saf hi kah dijiye sahab
wade jo kiye the wo mukarne ke liye the
hum aaj teri rah mein kaam aa gae aaKHir
zinda hi tere nam pe marne ke liye the
achchha nahin lagta tha tere hijr mein jina
hum lauT gae the to bikharne ke liye the
hum log saza-war na the wadi-e-gul ke
kanTon-bhari rahon se guzarne ke liye the
ahbab bhi dushman nazar aate hain 'nazir' aaj
chehron pe lage chehre utarne ke liye the
Ghazal
Palkon pe bhala kab ye Thaharne ke liye the
Nazeer Meeruthy