palkon par nam kya phail gaya
har samt dhuan sa phail gaya
meri rekha-posh hatheli par
ek sham ka saya phail gaya
jo harf chhupaya logon se
wo chehra-ba-chehra phail gaya
tera nam liya to sahra mein
ek saya utra phail gaya
ab mere aur KHuda ke bich
ek hijr ka lamha phail gaya
jab nae safar par nikla main
raston par sadma phail gaya
shamon ki surKHi simaT gai
raaton ka qissa phail gaya
main pyas bujhane pahuncha to
dariya mein sahra phail gaya
is arz o sama ki wusat mein
dukh tera mera phail gaya

Ghazal
Palkon par nam kya phail gaya
Sabir Waseem