اردو हिंदी
Palkon par moti rakkhe hain sochon par sannaTa hai | Shaahi Shayari
palkon par moti rakkhe hain sochon par sannaTa hai

Ghazal

Palkon par moti rakkhe hain sochon par sannaTa hai

Marghoob Ali

;

palkon par moti rakkhe hain sochon par sannaTa hai
tabiron ka shor bahut hai KHwabon par sannaTa hai

aaankhon se baaten karne ka mausam hai KHamosh raho
aur to sab kuchh jaez hai yan lafzon par sannaTa hai

din to KHair guzare hum ne hans kar bhi chup rah kar bhi
lekin jab se bichhDe hain tum se raaton par sannaTa hai

shayad ab mausam ke panchhi aaen to chahkar uDe
chiDiyon ke ghar jab se ujDe peDon par sannaTa hai

kaun se din hain bachchon ke bin raste sune sune hain
koi zulf nahin lahraati galiyon par sannaTa hai

kis se kah kar halke ho len koi ab milta hi nahin
dil mein huk bahut uThti hai honTon par sannaTa hai