palkon ki dahliz pe chamka ek sitara tha
sahil ki is bhiD mein jaane kaun hamara tha
kohsaron ki gunj ki surat phail gaya hai wo
main ne apne-ap mein chhup kar jise pukara tha
sar se guzarti har ek mauj ko aise dekhte hain
jaise is girdab-e-fana mein yahi sahaara tha
hijr ki shab wo nili aankhen aur bhi nili thin
jaise us ne apne sar se bojh utara tha
jis ki jhilmilta mein tum ne mujh ko qatl kiya
patjhaD ki us raat wo sab se raushan tara tha
tark-e-wafa ke baad mila to jab malum hua
is mein kitne rang the us ke kaun hamara tha
kaun kahan par jhuTa nikla kya batlate hum
duniya ki tafrih thi is mein hamein KHasara tha
jo manzil bhi rah mein aai dil ka bojh bani
wo us ki tabir na thi jo KHwab hamara tha
ye kaisi aawaz hai jis ki zinda gunj hun main
subh-e-azal mein kis ne 'amjad' mujhe pukara tha
Ghazal
Palkon ki dahliz pe chamka ek sitara tha
Amjad Islam Amjad