palaT kar dekh lena jab sada dil ki sunai de
meri aawaz mein shayad mera chehra dikhai de
mohabbat raushni ka ek lamha hai magar chup hai
kise sham-e-tamanna de kise dagh-e-judai de
chubhen aankhon mein bhi aur ruh mein bhi dard ki kirchen
mera dil is tarah toDo ke aaina badhai de
khanak uTThen na palkon par kahin jalte hue aansu
tum itna yaad mat aao ke sannaTa duhai de
rahega ban ke binai wo murjhai si aankhon mein
jo buDhe bap ke hathon mein mehnat ki kamai de
mere daman ko wusat di hai tu ne dasht-o-dariya ki
main KHush hun dene wale tu mujhe katra ke rai de
kisi ko maKHmalin bistar pe bhi mushkil se nind aae
kisi ko 'naqsh' dil ka chain TuTi chaarpai de
Ghazal
PalaT kar dekh lena jab sada dil ki sunai de
Naqsh Layalpuri