palang par jo kitab o sinan rakh dega
nae safar ke liye kuchh nishan rakh dega
nishana bandhega wo pusht par magar junhi
palaT ke dekhoge hans kar kaman rakh dega
KHud us ki zat abhi goliyon ki zad par hai
wo kaise shahr mein amn-o-aman rakh dega
bigaD gaya to jununi lahu bhi pi lega
jo KHush hua to wo qadmon pe jaan rakh dega
guman na tha ki lifafe mein KHat ke badle wo
lahu-luhan taDapti zaban rakh dega

Ghazal
Palang par jo kitab o sinan rakh dega
Sadiq