اردو हिंदी
Palang kun chhoD Khaali god sin jab uTh gaya mita | Shaahi Shayari
palang kun chhoD Khaali god sin jab uTh gaya mita

Ghazal

Palang kun chhoD Khaali god sin jab uTh gaya mita

Abroo Shah Mubarak

;

palang kun chhoD KHali god sin jab uTh gaya mita
chitar-kari lagi khane haman kun ghar hua chita

banai be-nawai ki jun tarah sab se chhuDe hum nin
tujh auron ko liya hai sath apne ek nahin mita

sirat ke tar abjad ek sur ho mil ke sab bole
ki jis kun gyan hai us jaan kun har tan hai gita

judai ke zamane ki sajan kya zyaadti kahiye
ki us zalim ki jo hum par ghaDi guzri so jug bita

muqarrar jab ki jaan-bazon mein us ka ho chuka marna
hua tab is qadar KHush-dil goya aashiq ne jag jita

laga dil yar sin tab us ko kya kaam 'abru' seti
ki zaKHmi ishq ka phir mang kar pani nahin pita