pal pal jine ki KHwahish mein karb-e-sham-o-sahar manga
sab the nashat-e-nafa ke pichhe hum ne ranj-e-zarar manga
ab tak jo dastur-e-junun tha hum ne wahi manzar manga
sahra dil ke barabar chaha aur ya aankhon bhar manga
abr ke ehsan se bachna tha dil ko hara bhi rakhna tha
hum ne us paude ki KHatir mauja-e-dida-e-tar manga
fasle kuchh qadmon mein sameTe aankhon mein kuchh dhup ke phul
is ke alawa aur na hum ne kuchh saman-e-safar manga
koi sar-o-saman nahin aur aandhi har din ka mamul
hum ne bhi kya soch samajh kar be-diwar ka ghar manga
soch raha hun apni hasti mein apna kya hissa tha
dil par yaron ka haq Thahra aur dushman ne sar manga
khula ki wo bhi teri talab ka ek be-nam tasalsul tha
duniya se jo bhi hum ne haalat ke zer-e-asar manga
Ghazal
Pal pal jine ki KHwahish mein karb-e-sham-o-sahar manga
Zafar Gorakhpuri