pal pal jine ki KHwahish mein karb-e-sham-o-sahar manga
sab the nashat-e-nafa ke pichhe hum ne ranj-e-zarar manga
ab tak jo dastur-e-junun tha hum ne wahi manzar manga
sahra dil ke barabar chaha dariya aankhon bhar manga
dekhna ye hai apne lahu ki kitni unchi hai parwaz
aisi tez hawa mein hum ne kaghaz ka ek par manga
abr ke ehsan se bachna tha dil ko hara bhi rakhna tha
hum ne is paude ki KHatir mauj-e-dida-e-tar manga
koi asasa pas nahin aur aandhi har din ka mamul
hum ne bhi kya soch samajh kar be-diwar ka ghar manga
khula ki wo bhi teri talab ka ek benam tasalsul tha
duniya se jo bhi hum ne haalat ke zer-e-asar manga
Ghazal
Pal pal jine ki KHwahish mein karb-e-sham-o-sahar manga
Zafar Gorakhpuri