pakDi kisi se jawe nasim aur saba bandhe
maula kare kuchh apni bhi ab to hawa bandhe
aashiq ko bogh-band mein bandha hai us ne yun
ta ho ke dast-e-buqcha mein jaise qaba bandhe
yun dud aah ka meri gumbad bandha hai yan
chhat jaise abr-e-tira ki tahtassama bandhe
Tuk aalam ai junun tu dikha wo ki jis se saf
lahut ka saman meri aaankhon mein aa bandhe
sarma ghula ke aaankhon mein nikla na kijiye
aisa na ho ki aap pe kuchh tutiya bandhe
qudrat KHuda ke dekho ki chori to hum karen
aur ulTe dast-gir ho duzd-e-hina bandhe
aljheDe mein phanse the teri zulf ke so wo
ulTe Tange asir hue barha bandhe
'insha' sad-afrin tere zehn-e-salim ko
mazmun ziyaada is se bhala aur kya bandhe
Ghazal
PakDi kisi se jawe nasim aur saba bandhe
Insha Allah Khan u0027Inshau0027