pak gai hain aadaten baaton se sar hongi nahin
koi hangama karo aise guzar hogi nahin
in ThiThurti ungliyon ko is lapaT par senk lo
dhup ab ghar ki kisi diwar par hogi nahin
bund Tapki thi magar wo bundon barish aur hai
aisi barish ki kabhi un ko KHabar hogi nahin
aaj mera sath do waise mujhe malum hai
pattharon mein chiKH hargiz kargar hogi nahin
aap ke TukDon ke TukDe kar diye jaenge par
aap ki tazim mein koi kasar hogi nahin
sirf shair dekhta hai qahqahon ki asliyat
har kisi ke pas to aisi nazar hogi nahin
Ghazal
Pak gai hain aadaten baaton se sar hongi nahin
Dushyant Kumar