اردو हिंदी
Paiwand-e-nau zamin ki rida se laga diya | Shaahi Shayari
paiwand-e-nau zamin ki rida se laga diya

Ghazal

Paiwand-e-nau zamin ki rida se laga diya

Maratib Akhtar

;

paiwand-e-nau zamin ki rida se laga diya
main hissa-e-fana tha fana se mila diya

pal mein sameT li hai sadi si tawil raat
phaila ke ek din ko zamana bana diya

us ne mujhe dikha ke meri samt dekh kar
titli ka par hatheli pe rakh kar uDa diya

har waqt ek ye dhun hai ki mein tajziya karun
mujh ko mere junun-e-tajassus ne kya diya