اردو हिंदी
Pairaw-e-maslak-e-taslim-o-raza hote hain | Shaahi Shayari
pairaw-e-maslak-e-taslim-o-raza hote hain

Ghazal

Pairaw-e-maslak-e-taslim-o-raza hote hain

Hasrat Mohani

;

pairaw-e-maslak-e-taslim-o-raza hote hain
hum teri rah-e-mohabbat mein fana hote hain

sharm kar sharm ki ai jazba-e-tasir-e-wafa
tere hathon wo pashiman-e-jafa hote hain

chheDti hai mujhe bebaki-e-KHwahish kya kya
jab kabhi hath wo paband-e-hina hote hain

na asar aah mein kuchh hai na dua mein tasir
tir hum jitne chalate hain KHata hote hain

ahl-e-dil sunte hain ek saz-e-mohabbat ki nawa
hum teri yaad mein jab naghma-sara hote hain

lazzat-e-dard na kyun ahl-e-hawas par ho haram
ki wo kam-baKHt talabgar-e-dawa hote hain

kishwar-e-ishq mein duniya se nirala hai riwaj
kaam jo ban na paDen yan wo rawa hote hain

hech hum samjhe do aalam ko to hairat kya hai
rutbe ushshaq ke is se bhi siwa hote hain

jism hota hai juda jaan se goya 'hasrat'
aasman un se chhuData hai juda hote hain