pairahan uD jaega rang-e-qaba rah jaega
phul ke tan par faqat aks-e-hawa rah jaega
hum to samjhe the ki chaaron dar muqaffal ho chuke
kya KHabar thi ek darwaza khula rah jaega
kirchiyan ho jaengi aankhen bhi KHwabon ki tarah
aainon mein naqsh sa taswir ka rah jaega
baat lab par aa gai to kaun rokega use
aur tera hath honTon se laga rah jaega
soch lena an-suni baaten sunenge ek din
dekh lena har fasana an-kaha rah jaega
ai gunahgaron ke dushman ai niko-karon ke yar
kaun jaane kya miTega aur kya rah jaega
hum bichhaD jaenge shaKH-e-umr se gir kar 'najib'
ek tane par nam donon ka likha rah jaega

Ghazal
Pairahan uD jaega rang-e-qaba rah jaega
Najeeb Ahmad