paimane mein wo zahr nahin ghol rahe the
mere liye maiKHane ka dar khol rahe the
main dair mein chup dur se munh dekh raha tha
kis tarah bure bol ye but bol rahe the
karte the wo baiThe hue naKHun se juda gosht
kahne ko mere dil ki girah khol rahe the
sayyaad ne kab nawak-e-bedad lagaya
hum uDne ko jab shaKH se par tol rahe the
ai aankh dur-e-ashk wahi naza mein kaam aae
ban kar tere daman mein jo anmol rahe the
hum baiThe the kis tarah tah-e-shaKH fasurda
gul hanste the murghan-e-chaman bol rahe the
shoKHi se qayamat ko wo pasang bana kar
hum kitne hain baaton mein hamein tol rahe the
the subh ko wo saghar-e-jam dast-e-gada mein
aaluda mai-e-shab ko jo kashkol rahe the
kuchh chup se hain ab hashr mein aane se kisi ke
baDh baDh ke 'riyaz' aaj bahut bol rahe the

Ghazal
Paimane mein wo zahr nahin ghol rahe the
Riyaz Khairabadi