paiman-e-wafa-e-yar hain hum 
yani na-paedar hain hum 
KHak-e-sar-e-rahguzar hain hum 
pamal-e-jafa-e-yar hain hum 
naumidi o yas chaar su hai 
uf kis ke ummid-war hain hum 
kis dushman-e-jaan ki aarzu hai 
jo maut ke KHwast-gar hain hum 
tu hum se hai bad-guman sad afsos 
tere hi to jaan-nisar hain hum 
'wahshat' KHamosh jal rahe hain 
goya sham-e-mazar hain hum
        Ghazal
Paiman-e-wafa-e-yar hain hum
Wahshat Raza Ali Kalkatvi

