اردو हिंदी
Paikar-e-sang-o-ahang jaisa tanha khaDa hun waise to | Shaahi Shayari
paikar-e-sang-o-ahang jaisa tanha khaDa hun waise to

Ghazal

Paikar-e-sang-o-ahang jaisa tanha khaDa hun waise to

Mehboob Rahi

;

paikar-e-sang-o-ahang jaisa tanha khaDa hun waise to
andar TuTa phuTa hun salim lagta hun waise to

zehn ki aankhon par danista paTTi bandhe baiTha hun
sab kuchh dekh raha hun sab kuchh samajh raha hun waise to

kal gumnami ki gahri khai mein bhi gir sakta hun
shohrat ki unchi choTi par aaj khaDa hun waise to

bas ek munafiqat hai jis ki neamat se mahrum hun main
mere yaro main bhi bilkul tum jaisa hun waise to

apne badan ki qaid se lekin chhuTkara na-mumkin hai
bahar ki sari diwaren toD chuka hun waise to

jo tariki mere apne andar thi so qaem hai
galiyon galiyon chand sitare banT raha hun waise to