paiham talash-e-dost main karta chala gaya
kaunain ki hadon se guzarta chala gaya
jitna mazaq-e-ishq sanwarta chala gaya
rang-e-tabiat aur nikharta chala gaya
ek sang-dil ki dida-dileri to dekhna
shikwon ka e'tiraf bhi karta chala gaya
be-chaargi to dekhiye majbur-e-shauq ki
tohmat muqaddaraat pe dharta chala gaya
dete rahe fareb-e-musarrat wo pai-ba-pai
main gham ki manzilon se guzarta chala gaya
taswir-e-yas-o-gham thi ba-zahir nihan magar
har naqsh dil hi dil mein ubharta chala gaya
dil mahw-e-iztirab nazar sakit-o-KHamosh
ye kaun samne se guzarta chala gaya
Ghazal
Paiham talash-e-dost main karta chala gaya
Shakeel Badayuni