paiham mauj-e-imkani mein
agla panw nae pani mein
saf-e-shafaq se mere bistar tak
saton rang farawani mein
badan visal-ahang hawa sa
qaba ajib pareshani mein
kya salim pahchan hai us ki
wo ki nahin apne sani mein
Tok ke jaane kya kahta wo
us ne suna sab be-dhyani mein
yaad teri jaise ki sar-e-sham
dhund utar jae pani mein
KHud se kabhi mil leta hun main
sannaTe mein virani mein
aaKHir socha dekh hi lije
kya karta hai wo man-mani mein
ek diya aakash mein 'bani'
ek charagh sa peshani mein
Ghazal
Paiham mauj-e-imkani mein
Rajinder Manchanda Bani