paiham ek iztirab ajab KHushk-o-tar mein tha
main ghar mein aa ruka tha mera ghar safar mein tha
kya raushni thi jis ko ye aankhen taras gain
kya aag thi ki jis ka dhuan mere sar mein tha
bas ek dhund KHwabon ki fikr-o-KHayal mein
bas ek lams dard ka sham-o-sahar mein tha
har ahd ko sameTe hue chal raha tha main
nadida saaton ka ujala nazar mein tha
har lamha tha talash ki sadiyan liye hue
meri baqa ka raaz hi ilm-o-KHabar mein tha
Ghazal
Paiham ek iztirab ajab KHushk-o-tar mein tha
Akbar Haidri