اردو हिंदी
Paiham diya pyala-e-mai barmala diya | Shaahi Shayari
paiham diya pyala-e-mai barmala diya

Ghazal

Paiham diya pyala-e-mai barmala diya

Hasrat Mohani

;

paiham diya pyala-e-mai barmala diya
saqi ne iltifat ka dariya baha diya

us hila-ju ne wasl ki shab hum se ruTh kar
nairang-e-rozgar ka aalam dikha diya

allah ri bahaar ki rang afriniyan
sehn-e-chaman ko taKHta-e-jannat bana diya

ab wo hujum-e-shauq ki sarmastiyan kahan
mayusi-e-firaq ne dil hi bujha diya

'hasrat' ye wo ghazal hai jise sun ke sab kahen
'momin' se apne rang ko tu ne mila diya