paida ye ghubar kyun hua hai
aur aaKHiri bar kyun hua hai
main kab se khaDa hun is kinare
dariya mere par kyun hua hai
sab kuchh tabdil hote hote
shabnam se sharar kyun hua hai
dekha hua rasta ye mera
dushwar-guzar kyun hua hai
ghere mein liye hue hun KHud ko
har-su ye hisar kyun hua hai
jo panw pakaD raha tha pahle
ab sar pe sawar kyun hua hai
chhoDa tha jo kaam dil ne us par
phir se tayyar kyun hua hai
pahle to nahin tha ye tariqa
majma ye qatar kyun hua hai
aaba to 'zafar' nahin the aise
phir sher shiar kyun hua hai
Ghazal
Paida ye ghubar kyun hua hai
Zafar Iqbal