pahunche na jo murad ko wo muddaa hun main
nakaamiyon ki rah mein KHud kho gaya hun main
kahte hain jis ko husn usi ka hai nam ishq
dekho mujhe ba-ghaur ki shan-e-KHuda hun main
parda uTha ki hosh ki duniya badal gai
hairan hun ki samne kya dekhta hun main
paiwand KHak ho ke milen sar-bulandiyan
dasht-e-junun mein ban ke bagula uDa hun main
waiz ke pand-o-waz ka itna asar to hai
jo kuchh bhi aaj us ne kaha pi gaya hun main
samjhe meri haqiqat-e-hasti koi 'ratan'
ain-e-fana ki shakl mein ain-e-baqa hun main
Ghazal
Pahunche na jo murad ko wo muddaa hun main
Ratan Pandorwi