pahuncha hun aasman pe tujhe DhunDhta hua
ai muKHtasar basit sitare qarib aa
bikhre hue talab ke taqaze idhar-udhar
kapDe gilas qahqahe sahil pe ja-ba-ja
beTa suno kaha ye mujhe ek buzurg ne
mahdud kis qadar hai ye TukDa zamin ka
un bastiyon ke par udhar dur us taraf
larzan hai KHauf-e-marg se insan aaj ka
pagal sa ek aadmi kal dur tak mujhe
muD muD ke dekhta gaya pahchanta gaya

Ghazal
Pahuncha hun aasman pe tujhe DhunDhta hua
Maratib Akhtar