pahuncha hai aaj qais ka yan silsila mujhe
jangal ki ras kyun na ho aab-o-hawa mujhe
aana agar tera nahin hota hai mere ghar
daulat-sara mein apne hi ek din bula mujhe
wo howe aur main hun aur ek kunj-e-afiyat
is se ziyaada chahiye phir aur kya mujhe
paida kiya hai jab se ki main rabt-e-ishq se
begana jaanta hai har ek aashna mujhe
kafir buton ki rah na ja aa KHuda ko man
pir-e-KHird ne garche kaha bar-ha mujhe
par kya karun ki dil hi nahin iKHtiyar mein
us KHanuma-KHarab ne aajiz kiya mujhe
pahle hi apne dil ko na dena tha us ke hath
'iman' ab to koi paDi hai wafa mujhe
Ghazal
Pahuncha hai aaj qais ka yan silsila mujhe
Sher Mohammad Khan Iman