اردو हिंदी
Pahlu-o-pusht-o-sina-o-ruKHsar aaina | Shaahi Shayari
pahlu-o-pusht-o-sina-o-ruKHsar aaina

Ghazal

Pahlu-o-pusht-o-sina-o-ruKHsar aaina

Parveen Umm-e-Mushtaq

;

pahlu-o-pusht-o-sina-o-ruKHsar aaina
hai razm-gah-e-husn ka ye chaar aaina

kaf aaina bar aaina ruKHsar aaina
hai sar se panw tak wo sitamgar aaina

haTta nahin jo samne se us ke raat din
hum se siwa hai talib-e-didar aaina

ye to mera raqib hai main manta nahin
kyun dekhta hai aap ko har bar aaina

ruKH ka hai aks dil mein to ruKH mein hai dil ka aks
hai aaine ke samne har bar aaina

KHalwat mein us ke nur se aalam hai tur ka
hain aab-o-tab se dar-o-diwar aaina

ghash kha ke gir paDe na kahin roab-e-husn se
is waste hai pusht ba-diwar aaina

kis mein hai aab-o-tab siwa dekh lijiye
ek bar us ka chehra aur ek bar aaina

ruKH ka aur us ka ho gaya ek bar faisla
achchha hua ki man gaya haar aaina

labrez hai shua-e-ruKH-e-dil-faroz se
le aab-e-husn-e-saghar-e-sarshaar aaina

'parwin' jahan mein us ki jhapakti nahin palak
hairat ka aap karta hai iqrar aaina