pahlu mein rah gaya yun ye dil taDap taDap kar
rah jae jaise koi bismil taDap taDap kar
majnun-e-be-KHirad ne di jaan ba-na-umidi
laila ka dekhte hi mahmil taDap taDap kar
kahiyo saba jo jawe mazbuh-e-gham ne tere
aasan ki shab apni mushkil taDap taDap kar
us pardagi ne apna aanchal nahin dikhaya
mar mar gae hain us ke mail taDap taDap kar
qatil ka mere kucha hai KHwab-gah-e-rahat
kya kya na so rahe yan ghayal taDap taDap kar
haal us ghariq ka hai ja-e-tarahhum ai dil
rah jae hai jo zer-e-sahil taDap taDap kar
qabu mein aae par main chhoDa na us ko hargiz
bal kha ke garche nikla qatil taDap taDap kar
tu ne to aabru hi kho di hamari ai dil
maqtal mein aashiqon ke shamil taDap taDap kar
jhumke dikha ke us ko tu ne jo munh dikhaya
mar hi gaya na tera sail taDap taDap kar
go murgh-e-nama-bar ko bismil kiya hai us ne
tai kar rahega aaKHir manzil taDap taDap kar
furqat mein us ki tu ne ai 'mushafi' bata tu
juz-ashk-e-KHun kiya kya hasil taDap taDap kar
mujh ko ye sujhta hai nahaq tu jaan dega
ek din isi tarah se jahil taDap taDap kar
Ghazal
Pahlu mein rah gaya yun ye dil taDap taDap kar
Mushafi Ghulam Hamdani