اردو हिंदी
Pahlu ke aar-par guzarta hua sa ho | Shaahi Shayari
pahlu ke aar-par guzarta hua sa ho

Ghazal

Pahlu ke aar-par guzarta hua sa ho

Adil Mansuri

;

pahlu ke aar-par guzarta hua sa ho
ek shaKHs aaine mein utarta hua sa ho

jita hua sa ho kabhi marta hua sa ho
ek shahr apne aap se Darta hua sa ho

sare kabira aap hi karta hua sa ho
ilzam dusre hi pe dharta hua sa ho

har ek naya KHayal jo Tapke hai zehn se
yun lag raha hai jaise ki barta hua sa ho

qailula kar rahe hon kisi nim ke tale
maidan mein raKHsh-e-umr bhi charta hua sa ho

mashuq aisa DhunDiye qahtur-rijal mein
har baat mein agarta magarta hua sa ho

phir baad mein wo qatl bhi kar de to harj kya
lekin wo pahle pyar bhi karta hua sa ho

gar dad tu na de na sahi galiyan sahi
apna bhi koi aib hunarta hua sa ho