pahli pahli wo mulaqat wo barsat ki raat
yaad hai yaad hai wo sharm-o-hijabaat ki raat
wo lagawaT se hama shikwe-shikayat ki raat
wo tere saya-e-gesu mein hikayat ki raat
Dol par chand hare khet fazaen KHamosh
kaisi masum hawa karti hai dehat ki raat
hashr ka rose kabhi KHatm to hoga zahid
aaegi aaegi zalim ye KHarabaat ki raat
ek jannat ke liye itna alam shaiKH-e-haram
kash hoti teri qismat mein KHarabaat ki raat
inqalab aisa bhi mumkin hai palaT de taqdir
dusri bar meri pahli mulaqat ki raat
ruh paband-e-anasir hai bas itni 'talib'
jaise mehman musafir ho koi raat ki raat

Ghazal
Pahli pahli wo mulaqat wo barsat ki raat
Talib Baghpati