pahle ye jism jalaya jae
baad mein shok manaya jae
us ki nazron mein agar aana hai
us ki baaton mein na aaya jae
ab to gardan pe hi ban aai hai
ab to nazron ko uThaya jae
kis ko har shai se mohabbat hai bhala
kis ko aaina banaya jae
wo jo aae na bulaya jae
wo na aae jo bulaya jae
aisi baaten jo sikhane ki nahin
aisi baaton ko sikhaya jae
dil mein baqi hain abhi ummiden
kyun jigar kaam mein laya jae
jis ko ab bhi ho siyasat pe yaqin
us ko ye mulk dikhaya jae
waqt ke sath na ye chal paya
ab KHuda phir se banaya jae

Ghazal
Pahle ye jism jalaya jae
Rajneesh Sachan