اردو हिंदी
Pahle wo achanak nazar aaya use dekha | Shaahi Shayari
pahle wo achanak nazar aaya use dekha

Ghazal

Pahle wo achanak nazar aaya use dekha

Mubashshir Saeed

;

pahle wo achanak nazar aaya use dekha
phir dil ne kiya aur taqaza use dekha

wo husn baDi der raha samne mere
phir main ne miyan jis tarah chaha use dekha

wo pal to meri aankh se jata hi nahin hai
ek roz dariche se main jhanka use dekha

wo husn ke meyar pe pura tha bahar-taur
dekha hi nahin koi bhi jaisa use dekha

ek sham wo kuchh aisa khula aisa khula bas
jaisa main samajhta tha so waisa use dekha

dariya sa samundar mein utarne ko tha betab
utra use dekha jo wo Duba use dekha

chhaya hai KHayalon mein 'said' aisa koi shaKHs
lagta hai ki jis ne mujhe dekha use dekha