pahle to zara sa haT ke dekha
us shoKH se phir lipaT ke dekha
itni bhi buri na thi jo main ne
duniya ko zara sa haT ke dekha
dekha use us ka ho ke aur phir
kya farq paDega kaT ke dekha
hum jama hue hi ja rahe the
aaram mila jo ghaT ke dekha
bas ek hi KHwab tha ki jis ko
ta-umr ulaT-palaT ke dekha
wo aur qarib aa gaya tha
jab main ne zara simaT ke dekha
phir dil ne mere gham aur KHushi ko
rassi ki tarah se baT ke dekha
kal Dub raha tha 'farhat-ehsas'
hum ne bhi tamasha DaT ke dekha
Ghazal
Pahle to zara sa haT ke dekha
Farhat Ehsas