اردو हिंदी
Pahle to uski zat ghazal mein sameT lun | Shaahi Shayari
pahle to uski zat ghazal mein sameT lun

Ghazal

Pahle to uski zat ghazal mein sameT lun

Chandra Parkash Jauhar Bijnauri

;

pahle to us ki zat ghazal mein sameT lun
phir sari kaenat ghazal mein sameT lun

hote hain runuma jo zamane mein roz-o-shab
wo sare hadsat ghazal mein sameT lun

pahle to main ghazal mein kahun apne dil ki baat
phir sab ke dil ki baat ghazal mein sameT lun

koi KHayal zehn se bach kar na ja sake
sare tasawwuraat ghazal mein sameT lun

maqbul-e-bargah-e-risalat hon mere sher
sarmaya-e-najat ghazal mein sameT lun

'jauhar' wo baat jis ka talluq ho zist se
aisi har ek baat ghazal mein sameT lun