pahle to miTTi ka aur pani ka andaza hua
phir kahin apni pareshani ka andaza hua
ai mohabbat tere dukh se dosti aasan na thi
tujh sa ho kar teri virani ka andaza hua
umr bhar hum ne fana ke tajrbe KHud par kiye
umr bhar mein aalam-e-fani ka andaza hua
ek zamane tak badan bin KHwab bin aadab the
phir aachanak apni uryani ka andaza hua
tere hathon jal uThe hum tere hathon jal bujhe
hote hote aag aur pani ka andaza hua
log meri band aankhon mein se guzre tab unhen
apni apni KHwab-samani ka andaza hawa
ek ghera waqt ka hai dusra na-waqt ka
KHud-nigar kuchh apni nigarani ka andaza hua
suraten bigDin to apni haalaton mein aae hum
aaina TuTa to hairani ka andaza hua
raat ek dahliz aisi aa gai thi KHwab mein
raat kuchh kuchh apni peshani ka andaza hua
Ghazal
Pahle to miTTi ka aur pani ka andaza hua
Shaheen Abbas

