pahle to KHwab zehn mein tashkil ho gaya
phir sail-e-waqt mein kahin tahlil ho gaya
be-nur raston mein jo bhaTke hue the log
jugnu bhi un ke waste qindil ho gaya
kankar malamaton ke giraata hai misl-e-sang
mujh mein koi parind ababil ho gaya
waqt-e-tulua aaya gahan aaftab par
din chaDh raha tha raat mein tabdil ho gaya
tha jis ghani ke pas KHazina-e-ilm-o-fan
wo ahd-e-nau ke hath mein zambil ho gaya
apne gharon ke kar diye aangan lahu lahu
har shaKHs mere shahr ka qabil ho gaya
lauh-e-jabin pe waqt ne wo harf likh diye
chehra gham-e-hayat ki tafsil ho gaya
sad shukr 'soz' mere KHayalat ke liye
mera qalam wasila-e-tarsil ho gaya
Ghazal
Pahle to KHwab zehn mein tashkil ho gaya
Hira Nand Soz