pahle to bahut gardish-e-dauran se laDa hun
ab kis ki tamanna hai jo maqtal mein khaDa hun
go qadr meri bazm-e-suKHan mein nahin lekin
hire ki tarah fan ki anguThi mein jaDa hun
KHairaat mein banTe the jahan main ne sitare
KHud aaj wahin kas-e-shab le ke khaDa hun
hota koi patthar bhi to kaam aata junun ke
TuTa hua shisha hun sar-e-rah paDa hun
simTun to kisi sip ke sine mein sama jaun
ai 'prem' jo phailun to samundar se baDa hun
Ghazal
Pahle to bahut gardish-e-dauran se laDa hun
Prem Warbartani

