pahle saf-e-ushshaq mein mera hi lahu chaT
shamshir-nigah teri ne kya kya na kiya kaT
gulshan mein hansi dekh ke us gul ki yakayak
hasrat se gae ghunchon ke yak-laKHt jigar phaT
itna bhi diya sabr na us nafs-dani ko
kutte ki tarah baiThta qismat ka diya chaT
dhulwaiye kya jama-e-isyan ko basao
chal kuch mein dariya ke kinare hain khaDe ghaT
ho ghalla-e-KHilqat se na sauda-e-mohabbat
hai ishq ki dukkan so baniye ki nahin haT
ek pashm-nazar un ki mein hai shaal do-shaala
jo baiThe bichha boriya aur oDh liya TaT
sattar do bahattar hain tariq un se alahada
hai ishq ki manzil ki judi rah judi baT
ishqiya kahe sher o ya madh-o-manaqib
aalam ka banwaDa kahe shair nahin hai bhaT
tab rafa KHalish hoe miyan dil se 'muhib' ke
kahte hain so tujh se kahe dil khol ke dukh baT

Ghazal
Pahle saf-e-ushshaq mein mera hi lahu chaT
Waliullah Muhib