pahle sabit karen is wahshi ki taqsiren do
kyun mere panw mein pahnate hain zanjiren do
donon zulfon ka teri aaya jo wahshat mein KHayal
paD gain panw mein mere wahin zanjiren do
kahan qasid ne ki laya hun main paigham-e-visal
aaj KHilat mujhe pahnao ki jagiren do
dard-e-dil dard hua sina ki sozish bhi gai
sharbat-e-wasl mein tere hain ye tasiren do
ya bahane se bulaen use ya KHat hi likhen
'sharm' kya KHub ye sujhin hamein tadbiren do
Ghazal
Pahle sabit karen is wahshi ki taqsiren do
Shams-Un-Nisa Begum Sharm