pahle nazr lab-o-ruKHsar karegi duniya
phir tujhe bar-sar-e-paikar karegi duniya
gesu-e-zist ko suljhane mein guzrenge din
mujh se is darja agar pyar karegi duniya
chhoD degi tujhe Takrane ki KHatir aur phir
dar-o-diwar se inkar karegi duniya
mujh ko munsif ke bhi mansab pe karegi faez
jhuT se laDne ko tayyar karegi duniya
mujh ko masruf bhi rakkhega koi kar-e-abas
waqt-e-masraf pe ye bekar karegi duniya
gesu-e-zulmat-e-shab mujh ko chhupa le na kahin
is pahle ki giraftar giregi duniya
main talabgar hun jine ka 'nizami' lekin
jaane kab KHwab se bedar karegi duniya
Ghazal
Pahle nazr lab-o-ruKHsar karegi duniya
Hasan Nizami