pahle nahai os mein phir aansuon mein raat
yun bund bund utri hamare gharon mein raat
kuchh bhi dikhai deta nahin dur dur tak
chubhti hai suiyon ki tarah jab ragon mein raat
wo khurduri chaTanen wo dariya wo aabshaar
sab kuchh sameT le gai apne paron mein raat
aankhon ko sab ki nind bhi di KHwab bhi diye
hum ko shumar karti rahi dushmanon mein raat
be-samt manzilon ne bulaya hai phir hamein
sannaTe phir bichhane lagi raston mein raat
Ghazal
Pahle nahai os mein phir aansuon mein raat
Shahryar