pahle na uDaya kisi bekas ke jigar ko
par hum ne lagae hain tere tir-e-nazar ko
hai tir-e-nigah bazm-e-adu mein meri jaanib
ghusse mein chhupaya hai mohabbat ki nazar ko
kyun aatish-e-gul bagh mein hai tez ki hum aap
uTh jaenge ai shabnam-e-shadab sahar ko
din raat ka farq un ki mohabbat mein hai ab to
wada to kiya sham ka aur aae sahar ko
dil chiz hai kya jaan bhi dun ishq mein 'sabir'
main nafa samajhta hun mudam aise zarar ko

Ghazal
Pahle na uDaya kisi bekas ke jigar ko
Mirza Qadir Bakhsh Sabir Dehlavi