pahle kuchh din mere zaKHmon ki numaish hogi
phir mere haal pe us but ki nawazish hogi
han ba-zahir to dhara jaega qatil lekin
pas-e-parda usi qatil ki sifarish hogi
pyasi dharti yunhi pyasi hi rahegi yaro
aur dariya pe musalsal yahan barish hogi
jis tarah TuTe hue patte bikhar jate hain
hum bikhar jaen usi taur ye sazish hogi
kis ko malum hai jo raaz-e-mashiyyat hai 'obaid'
jaane kis baat pe kis shaKHs ki baKHshish hogi
Ghazal
Pahle kuchh din mere zaKHmon ki numaish hogi
Obaidur Rahman