pahle jo hum chale to faqat yar tak chale
phir fan se le ke hujra-e-fankar tak chale
but-KHana-e-jahan se inkar hai mujhe
lekin wo kya hue the jo inkar tak chale
mahw-e-KHayal teri tajalli mein kya hue
musa bhi koh-e-tur ke asrar tak chale
ramz-e-KHuda ki ramz bhari raushni miyan
main chahta to hun mere kirdar tak chale
kuchh rabt husn-e-yar ki taza-gari se ho
aankhon se ho ke silsila izhaar tak chale
karbal ki KHak se jo meri KHak ja mile
phir KHak meri markaz-e-anwar tak chale
yaadon se bach nikalne ka rasta nahin mila
masjid se le ke husn ke bazar tak chale

Ghazal
Pahle jo hum chale to faqat yar tak chale
Saim Ji