اردو हिंदी
Pahle jaisa rang-e-baam-o-dar nahin lagta mujhe | Shaahi Shayari
pahle jaisa rang-e-baam-o-dar nahin lagta mujhe

Ghazal

Pahle jaisa rang-e-baam-o-dar nahin lagta mujhe

Naz Naz Khialvi

;

pahle jaisa rang-e-baam-o-dar nahin lagta mujhe
ab to apna ghar bhi apna ghar nahin lagta mujhe

lagti hogi tujh ko bhi meri nazar badli hui
tera paikar bhi tera paikar nahin lagta mujhe

kya kahun is zulf se wabastagi ka faeda
ab andheri raat mein bhi Dar nahin lagta mujhe

mujh ko zaKHmi kar nahin sakta koi dast-e-sitam
main nadi ka chand hun patthar nahin lagta mujhe

sunnat-e-shah-e-umam ka hun main lazzat-ashna
KHak se behtar koi bistar nahin lagta mujhe

jab se dastar-e-fazilat pai hai darbar mein
jaane ki shanon pe apna sar nahin lagta mujhe

hain suKHnawar 'naz' achchhe aur bhi is daur mein
koi 'danish' ka magar ham-sar nahin lagta mujhe