pahle jaisa nahin raha hun
main andar tak TuT gaya hun
jaise kaghaz phaT jata hai
do TukDon mein paDa hua hun
dost mera kyun sath nibhate
jab main un ko chhoD chuka hun
kitna chhoTa sa lagta hun
dur se KHud ko dekh raha hun
shishe ki diwaron wale
ek kamre mein qaid paDa hun
logon ke zahir baatin ko
dekhta hun hansta rahta hun
taswiron ka qaht paDa hai
aur main rang baha baiTha hun
koi mera haal na puchhe
main jaisa bhi hun achchha hun
Ghazal
Pahle jaisa nahin raha hun
Shahnawaz Zaidi

