اردو हिंदी
Pahle ek shaKHs meri zat bana | Shaahi Shayari
pahle ek shaKHs meri zat bana

Ghazal

Pahle ek shaKHs meri zat bana

Ghulam Mohammad Qasir

;

pahle ek shaKHs meri zat bana
aur phir puri kaenat bana

husn ne KHud kaha musawwir se
panw par mere koi hath bana

pyas ki saltanat nahin miTti
lakh dajle bana furaat bana

gham ka suraj wo de gaya tujh ko
chahe ab din bana ki raat bana

sher ek mashghala tha 'qasir' ka
ab yahi maqsad-e-hayat bana