pahle hota tha bahut ab kabhi hota hi nahin
dil mera kanch tha TuTa to ye rota hi nahin
wo jo hanste the mere sath unhen DhunDun kahan
kaisi duniya hai jahan ka koi rasta hi nahin
ek muddat se main baiThi hun yahi aas liye
chand aangan mein mere kis liye utra hi nahin
mujh ko malum nahin raunaq-e-mahfil kya hai
dasht-e-tanhai se dil mera nikalta hi nahin
kya ajab shaKHs tha har baat pe KHush rahta tha
waqt kya badla ki wo DhunDe se milta hi nahin
Ghazal
Pahle hota tha bahut ab kabhi hota hi nahin
Sahiba Sheheryar